- How To Write a Perfect Rap Song
jesa k ap janty hain 1 perfect rap song likhna kitna mushkil hy lekin aj jo main apko skills batany ja raha hun unki madad sy ap buhat acha lihna start kar sakein gy. to chaliye start karta hain.- What Is BPM asal main rap song ko gaaty waqt apko ap k gaany ki speed ka pata huna chahye. agar ap apna beat khud sy ready karty hain to us waqt ap ko achy sy pata chal jata hy k ap key gaana kis bpm py set rahy ga. is cheez ki knowledge huna buhat hi zaroori hy. agar ap ye seekh jaaty hain to ap offbeat kabhi nahi ho sakein gy. is cheez ko bpm kehty hain yaani k (beat per minute)
- Structure Har beat main 1 hi jesa structure hota hy jese k har beat k andar 4 main sy 4 ya is sy kam cheezein lazmi hoti hain. jese key (kick, snare,clap, hihat) aur ye kab aaty hain beat main yahi samjhny waali cheez hoti hy. ap youtube par search kar k in cheezun k baary main jaan sakty hain ya to alag alag beat sun ny sy samjh aa jata hy achy sy.
- Topic sub sy zaroori cheez 1 topic jis k upar ap likhna chahty hain uska huna buhat zaroori hy. jese agar ap ko love py rap likhna hy to uski 1 story bana lein. jese 1 story start ki jaati hy same usi tarha sy start karain us k baad end karain.
- Chorus Har gana chahy wo Rap ho ya pop ho hamesha 1 chorus sy start kiya jata hy agar ap chorus nahi bhi gaaty tab bhi sahi rahy ga lekin rap main chorus huny sy buhat acha lagta hy aur sun ny waly ko ziyada pasan ata hy.
- Main Topic Rap song likhny k liye ab sirf is baat ka ghor rakhna hy k ap fazool wordz na likhy. har bar main kam sy kam 7 sy 10 words likhy aur 1 verse main 1 hi topic ko end karain. us k baad dusri topic py baat start kar dein. har bar verse key anadr rhyme karta ho.
jese k
rang ajeeb sy, ho gaya main tang
tu samjh nahi paa rahi main bol kiya raha hun
ishq sy majboor kar raha khud sy hi jung💗
- main janta hun k is ain 3rd bar rhyme nahi kar rahi lekin yahi cheez hota hy k agar apko rhyme karti hui words nahi mil rahy to ap topic k mutabiq koi aisi cheez likh sakty hain jo ap ko 4 bars complete karny main apki help kar sakein.
Umeed hy ap samjh gaye hungy. agar koi bhi help chahye ap comment kar k bata sakty hain. ya to ap mujhy whatsapp par contack kar sakty hain.
Subscribe by Email
Follow Updates Articles from This Blog via Email
No Comments